khanon mein khud hi bat ke ab insan rah gaya dekha jab apna hashr pareshan rah gaya purkhon ki shandar haweli ka zikr chhod aabaad kar khandar ko jo viran rah gaya gard-e-safar mein phul se chehre utar gae aaina un ko dekh ke hairan rah gaya dil bhar gaya hai apna masafat ke shauq mein manzil hai dur rasta bhi sunsan rah gaya hum jagte the madd-e-muqabil rahe magar khamosh inqalab tha tufan rah gaya kis ne diya tha sulh-o-safai ka mashwara basti mein ho ke jang ka elan rah gaya qismat ka hai zawal ki mehnat ki hai kami hum ne kiya jo kaam bhi nuqsan rah gaya hum ne diya tha khun bhi us ke liye magar wo mar gaya gharib ka ehsan rah gaya 'nayyar' ne sadgi se guzari hai zindagi makkariyon se apnon ki anjaan rah gaya