is saya-dar ped ko jad se ukhad ke kya mil gaya tujhe meri duniya ujad ke ab aur intizar kar ai khokhle badan main aa raha hun madd-e-muqabil pachhad ke tanha mujhe basit khala mein uda diya ham-zad ne bayyaz-e-tasalsul se phad ke kyun chand ki taraf hain rawan kam-nigah log dil ki rida se azmat-e-pasti ko jhad ke is khud-numa ki rifat-e-buniyaad dekhiye panw zamin-bos hain unche pahad ke shohrat ki aag asl mein ek naqsh-e-dud thi bujh kar bikhar gai tera huliya bigad ke