kharab-e-dard hue gham-parastiyon mein rahe khushi ki khoj bahana thi mastiyon mein rahe hua husul-e-zar-e-fan badi kashakash se hum ek umr ajab tang-dastiyon mein rahe har ek se jhuk ke mile yun ki sarfaraaz hue chatan jaise khamida si pastiyon mein rahe chubhan ki naw mein pur ki khalij rishton ki ajab mazaq se hum ghar girhastiyon mein rahe kitaben chehre manazir tamam baada-kade bataen kya ki badi mai-parastiyon mein rahe masafaten thin shab-e-fikr kin zamanon ki kahan kahan gae hum kaisi hastiyon mein rahe khulus-e-fikr ki galiyon mein ghumte tanha hum apne sher ki aabaad bastiyon mein rahe