ishq ki aanch mein sundarta ka bhi dhan jalta hai parwane ki chita par shama ka joban jalta hai agni-ban hain teri nazren aaina mat dekh tere shish-mahal ka ek ek darpan jalta hai rang-rup ki lau bhi nazar us bhed ko kya jaane rup aaya hai gulshan par ya gulshan jalta hai jab jab sulge koi mohan yaad to barson tak mitti ka tila aankhon ka suna ban jalta hai dil ki lagi kis or bujhe ek jalte dil ke sath sara purab pachchhim utar dakhkhan jalta hai mere soz-o-saz ke rasiya tujh ko kya malum sat suron ki aag mein mera tan-man jalta hai ang ang mein us ke 'musawwir' narm lawen si hain jab wo hath mein kangan pahne kangan jalta hai