kharab-haal hun har haal mein kharab raha khushi mein bhi gham-e-dil ka sa iztirab raha nazara-e-rukh-e-zeba ki yan kise fursat naqab rukh pe rahi ya wo be-naqab raha tarab ki bazm mein ja kar karega kya koi na wo piyala na wo mai na wo shabab raha nawa-e-shauq nikalti hai ab bhi dil se magar na wo upaj na wo mahfil na wo rabab raha har ek chiz ki duniya mein had muqarrar hai magar ye ranj zamana ka be-hisab raha khayal-o-khwab masarrat ki ek tawaqqoa par tamam-umr mujhe intizar-e-khwab raha