kharab hun ki junun ka chalan hi aisa tha ki tera husn mera husn-e-zan hi aisa tha har ek dub gaya apni apni yaadon mein ki tera zikr sar-e-anjuman hi aisa tha bahana chahiye tha ju-e-shir-o-shirin ka koi samajh na saka tesha-zan hi aisa tha had-e-adab se gurezan na ho saka koi ki sadgi mein tera bankpan hi aisa tha rafaqaton mein bhi niklin riqabaten kya kya main kya kahun tera ru-e-sukhan hi aisa tha jahan bhi chhanw mili do-ghadi ko baith rahe dayar-e-ghair kahan tha watan hi aisa tha thi dagh dagh mere qatilon ki khush-poshi ki umr-bhar mere sar par kafan hi aisa tha mujhe to yun laga tarsha hua tha shoala koi badan hi aisa tha kuchh pairahan hi aisa tha haqiqaton mein bhi thi 'shaz' rang-amezi qasida-e-lab-o-ariz ka fan hi aisa tha