muskura den to koi khair-khabar aa jae hun jo barham to kata tasht mein sar aa jae dosto rah mein manzil ke nishan bhi dekho chalte chalte na phir aaghaz-e-safar aa jae munfarid husn ki dushwar hai parda-dari sau hijabon mein bhi andaz nazar aa jae raat ki baat rahe parda-e-tariki mein sham ka bhula agar subh ko ghar aa jae itni masum si khwahish bhi to puri na hui khud-bakhud raat guzarne pe sahar aa jae