kharaba aur hota hai kharab aahista aahista dayar-e-dil pe aate hain azab aahista aahista sawal-e-wahshat-e-jaan ke jawab aahista aahista but-e-kafir uthate hain naqab aahista aahista koi dast-e-hinai mu-qalam se bharta jata hai nigar-e-sham mein rang-e-sharab aahista aahista bagula ibtida-e-shauq mein mahmil dikhai de nazar aate hain sahra mein sarab aahista aahista bahut bosida yaadon ke waraq jhadne bhi lagte hain palat umr-e-guzishta ki kitab aahista aahista suragh-e-naqsh-e-pa mitte chale jate hain sahra mein ubharta hai safar mein iztirab aahista aahista kamal-e-shauq-e-nazzara mein uryan hota jata hai sar-e-baam-e-falak wo mahtab aahista aahista kabhi khushbu kabhi naghma kabhi rangin pairahan 'nadim' ugti hai yun hi fasl-e-khwab aahista aahista