ilzam-e-tirgi ke sada us pe aae hain jis ne charagh apne lahu se jalae hain shayad use hamari ana ka guman na tha hum tishnagi patak ke samundar se aae hain ye dilkashi subut hai ai jaan-e-shairi phulon ne rang tere labon se churae hain hairan hai wo bhi wusat-e-parwaz dekh kar jis ne hamari fikr par pahre bithae hain tark-e-talluqat pe wo bhi the gham-zada aur hum bhi apni zat se jang haar aae hain ab nam kya bataun ki gham kis ka hai 'saba' aankhen meri zarur hain aansu parae hain