KHarabi kuchh na puchho mulkat-e-dil ki imarat ki

kharabi kuchh na puchho mulkat-e-dil ki imarat ki
ghamon ne aaj-kal suniyo wo aabaadi hi ghaarat ki

nigah-e-mast se jab chashm ne is ki ishaarat ki
halawat mai ki aur buniyaad maikhane ki ghaarat ki

sahar-gah main ne puchha gul se haal-e-zar bulbul ka
pade the bagh mein yak-musht par udhar ishaarat ki

jalaya jis tajalli-e-jalwa-gar ne tur ko ham-dam
usi aatish ke par kale ne hum se bhi shararat ki

nazakat kya kahun khurshid-ru ki kal shab-e-mah mein
gaya tha sae sae bagh tak tis par hararat ki

nazar se jis ki yusuf sa gaya phir us ko kya sujhe
haqiqat kuchh na puchho pir-e-kanan ki basarat ki

tere kuche ke shauq-e-tauf mein jaise bagula tha
bayaban main ghubar 'mir' ki hum ne ziyarat ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close