tere tausan ko saba bandhte hain hum bhi mazmun ki hawa bandhte hain aah ka kis ne asar dekha hai hum bhi ek apni hawa bandhte hain teri fursat ke muqabil ai umr barq ko pa-ba-hina bandhte hain qaid-e-hasti se rihai malum ashk ko be-sar-o-pa bandhte hain nashsha-e-rang se hai washud-e-gul mast kab band-e-qaba bandhte hain ghalati-ha-e-mazamin mat puchh log nale ko rasa bandhte hain ahl-e-tadbir ki wamandgiyan aablon par bhi hina bandhte hain sada purkar hain khuban 'ghaalib' hum se paiman-e-wafa bandhte hain panw mein jab wo hina bandhte hain mere hathon ko juda bandhte hain husn-e-afsurda-dil-ha-rangin shauq ko pa-ba-hina bandhte hain qaid mein bhi hai asiri aazad chashm-e-zanjir ko wa bandhte hain shaikh-ji kabe ka jaana malum aap masjid mein gadha bandhte hain kis ka dil zulf se bhaga ki 'asad' dast-e-shana ba-qaza bandhte hain tere bimar pe hain fariyaadi wo jo kaghaz mein dawa bandhte hain