khashak se khizan mein raha nam bagh ka warna to har darakht pe qabza hai zagh ka hairat hai sab talash pe us ki rahe musir paya gaya suragh na jis be-suragh ka hai irtikaz-e-zat mein waqfa zara si der tuta nahin hai rabta lau se charagh ka kab kis pe mehrban ho aur kab ulat pade kis ko yahan pata hai kisi ke dimagh ka hota hai phir wo aur kisi yaad ke supurd rakhta hun jo sambhaal ke lamha faragh ka mashq-e-sukhan mein dil bhi hamesha se hai sharik lekin hai is mein kaam ziyaada dimagh ka