nigar-e-paikar-e-farda mein dhal ke dekhte hain hum apne waqt se aage nikal ke dekhte hain tumhaari aankh mein tewar ghazal ke dekhte hain isi liye tumhein pahlu badal ke dekhte hain suna hai surkh-ru hone ka ye tariqa hai so tere ishq ki aatish mein jal ke dekhte hain hamin hain ek jo lipte hain apne mazi se jahan mein warna sabhi khwab kal ke dekhte hain ye dekhte hain ki kahte hain log kya hum ko mizaj-e-waqt ke sanche mein dhal ke dekhte hain jamal-e-yar ki tabish are maaz-allah unhen jo dekhte hain wo sambhal ke dekhte hain