KHasta-dil hain na hamein aur satana logo

khasta-dil hain na hamein aur satana logo
zikr us ka na zaban par kabhi lana logo

aql tayyar to hai tark-e-talluq ko magar
itna aasan nahin dil ko manana logo

ja-ba-ja dhundhti phirti hain nigahen jis ko
jaane kis shahar mein hai us ka thikana logo

dur tak phail gai baat hamari us ki
kal likha jaega ek aur fasana logo

jaane kis lamha wo kis mod pe mil jaegi
maut ka koi pata hai na thikana logo

khud ko mushkil se sambhaale hain bahut tute hain
hum bikhar jaenge mat thes lagana logo

umr bhar ke liye bechain ye kar deta hai
meri mano to kabhi dil na lagana logo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close