khasta diwar pe sabza dekhun ghar ki virani ko zinda dekhun mukhtalif aks daraate hain mujhe kab talak ek hi shisha dekhun barha main ne jise kuchla hai har qadam par wahi saya dekhun is se pahle ki ujad jae shajar main koi aur thikana dekhun ab bhi jine ki tadap baqi hai shakh par aakhiri patta dekhun sirf ek bar tujhe dekha tha ab ye hasrat hai dobara dekhun