khat jo tere nam likha, takiye ke niche rakhta hun jaane kis ummid pe ye tawiz daba ke rakhta hun taki ek ek lafz mere lahje mein tujh se baat kare khat ke har har lafz ko khat par khub padha ke rakhta hun aas pe teri bikhra deta hun kamre ki sab chizen aas bikharne par sab chizen khud hi utha ke rakhta hun ek zara sa dard mila aur kaghaz kale kar dale ek zara se hijr pe ek hangama macha ke rakhta hun ambar, mushkin, ruh-e-bahaaran jaan-faza o mauj-e-bahisht ek teri nisbat se kya kya nam saba ke rakhta hun