ghum-phir kar isi kuche ki taraf aaenge dil se nikle bhi agar hum to kahan jaenge hum ko malum tha ye waqt bhi aa jaega han magar ye nahin socha tha ki pachhtaenge ye bhi tai hai ki jo boenge wo katenge yahan aur ye bhi ki jo khoenge wahi paenge kabhi fursat se milo to tumhein tafsil ke sath imtiyaz-e-hawas-o-ishq bhi samjhaenge kah chuke hum hamein itna hi faqat kahna tha aap farmaiye kuchh aap bhi farmaenge ek din khud ko nazar aaenge hum bhi 'ajmal' ek din apni hi aawaz se takraenge