khat likh ke koi sada na us ko malul ho hum to hun bad-guman jo qasid-e-rasul ho chahun to bhar ke kauli utha lun abhi tumhein kaise hi bhaari ho mere aage to phul ho surma jo nur bakhshe hai aankhon ko khalq ki shayad ki rah-e-yar ki hi khak dhul ho jawen nisar hone ko hum kis bisat par ek nim jaan rakhen hain so wo jab qubul ho hum in dinon mein lag nahin padte hain subh-o-sham warna dua karen to jo chahen husul ho dil le ke launde dilli ke kab ka pacha gae ab un se khai pi hui shai kiya wasul ho nakaam is liye ho ki chaho ho sab kuchh aaj tum bhi to 'mir' sahib-o-qibla ajul ho