nasim-e-subh-e-chaman se idhar nahin aati hazar haif ki gul ki khabar nahin aati rakkhe hai aaina kya munh pe mere ai hamdam ki zindagi mujhe apni nazar nahin aati bhatakti phirti hai laila sawar naqe par jidhar hai wadi-e-majnun udhar nahin aati kamar hi ko teri parwa nahin hai kuchh us ki wagarna jad to kab ta-kamar nahin aati teri shabih mere samne khadi hai miyan haya ke mare wale peshtar nahin aati hua hun aah main jis pur-ghurur par aashiq kaniz us ki kabhi mere ghar nahin aati qalaq se hoti hai kuchh dil ki mere ye haalat ki nind raat ko do do pahar nahin aati shab-e-visal kab aati hai mere ghar ai charkh ki us ke pichhe se daudi sahar nahin aati gaya hai gham mere name ko le ke kuchh aisa ki aaj tak khabar nama bar nahin aati khiram fitna-e-roz-e-jaza ba-in shokhi tere khiram ke ohde se bar nahin aati main tark-e-ishq ko kahta hun 'mushafi' tujh se ye baat dhyan mein tere magar nahin aati