KHat mein kya kya likhun yaad aati hai har baat pe baat

khat mein kya kya likhun yaad aati hai har baat pe baat
yahi behtar ki utha rakhkhun mulaqat pe baat

raat ko kahte hain kal baat karenge din mein
din guzar jae to samjho ki gai raat pe baat

apni baaton ke zamane to hawa-burd hue
ab kiya karte hain hum surat-e-haalat pe baat

log jab milte hain kahte hain koi baat karo
jaise rakkhi hui hoti ho mere hat pe baat

mil na sakne ke bahane unhen aate hain bahut
dhund lete hain koi hum bhi mulaqat pe baat

dusron ko bhi maza sunne mein aae 'basir'
apne aansu ki nahin kijiye barsat pe baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close