KHat zamin par na ai fusun-gar kaT

khat zamin par na ai fusun-gar kat
dard-e-sar katna hai to sar kat

gar likhun us ko nama-e-ulfat
harf-e-matlab ko de muqaddar kat

qatl se mere gar phire qatil
dant se lun zaban-e-khanjar kat

gar hai bedad hi pasand tujhe
gardan-e-ghair ai sitam-gar kat

gham-e-barq-o-tagarg ko na kharid
kisht-e-ummid ko sarasar kat

waqt-e-dai zer-e-khar-zar guzar
mausam-e-gul tah-e-gul-e-tar kat

pa-e-mardi se dast-burd na chhod
jeb-e-shah-o-gada barabar kat

quwwat-e-hazm hai ba-qadr-e-zarf
kya kare mauj-e-ab-e-gauhar kat

sabr-o-taslim hi ke andar rah
umr ranj-o-khushi se bahar kat

tegh-e-burran-e-waqt se har dam
rishta-e-arzu ko yak-sar kat

mat bana ghar chaman ke andar kat
mat laga dil gul-o-sanobar kat

aashiyan ke liye chaman ka se
murgh-e-hirs-o-hawa ka har par kat

qadar-e-aram kuchh to kar malum
rose dushwar raat dubhar kat

shart kuchh tegh bandhna hi nahin
zist ko aae jo mayassar kat

ai 'qalaq' ranj ho ki ho aaram
kat jaise kate subuk-tar kat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close