hue karwan se juda jo hum rah-e-ashiqi mein fana hue jo gire to naqsh-e-qadam bane jo uthe to bang-e-dara hue kabhi dagh khate hi aah ki kahin aah karte hi ro diye kabhi hum chaman ki hawa hue kabhi hum hawa ki ghata hue jo hawa-e-dard bikhar gai nazar un ki saf badal gai jo asir-e-halqa--naz the wo qatil-e-tegh-e-ada hue hama-tan kabhi hue dard-o-gham hama-tan kabhi hue sabr hum kabhi aap apna maraz hue kabhi aap apni dawa hue hua baad-e-wasl ajab maza ki khamosh baithe juda juda hama-tan main sabr-o-sukun hua hama-tan-o-sharm-o-haya hue uthe hum jo khwab-o-khayal se lage takne dida-e-jal se ki wo kab uthe wo kidhar gae abhi pas the abhi kya hue ye qadam qadam pe jamenge panw ki badh sakoge na aage tum ho tumhaare kuche ki khak mein kahin dafn ahl-e-wafa hue