ye waqt jab bhi lahu ka khiraj mangta hai hamare jism mein zakhmon ke phul tankta hai ye aaftab nahin deta chand ko kirnen tamam din ki masafat ka dard bantta hai bujhegi kaise khuda jaane us ke pet ki aag ye surkh surkh sa suraj sitare phankta hai hamare sabr ne us ko thaka diya itna ye moajaza hai ki maqtal mein zulm hanpta hai main teri shan-e-fazilat mein kaise likkhun ghazal mera qalam hi nahin harf harf kanpta hai na jaane kaun se mausam ka hai wo diwana abhi talak unhin galiyon ki khak chhanta hai 'raza' main nazren milaun to kis tarah us se haqiqatan mere kirdar mein wo jhankta hai