KHatm hote nahin chahat ke shumare ab tak

khatm hote nahin chahat ke shumare ab tak
tum ko pura nahin padh pate tumhaare ab tak

chand ko chhute nahin hath hamare ab tak
apni qismat mein nahin apne sitare ab tak

qabr tak aane lage panw hamare lekin
bojh duniya ke nahin sar se utare ab tak

mutmain aaj bhi hain dil ki hasin choton se
achchhe lagte hain mohabbat ke khasare ab tak

ab faza mein bhi dikhai nahin dete hum ko
dhundte rahte hain rangin ghubbare ab tak

yaad mein rotiyan tum mere liye senkti ho
aur chulhe se lapakte hain sharare ab tak

dur pardes mein baithe hain magar aankhon mein
jhilmilate hain teri mang ke tare ab tak

tu ne aanchal ka zara sa bhi sahaara na diya
aankh se phut bahe kitne faware ab tak

sathiyo kashti to manjdhaar talak aa pahunchi
aur sahil se nahin koi ishaare ab tak

aap ne socha nahin aap hamare ho jaen
aur hum aap ke hain sare ke sare ab tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close