KHatm hoti hai kahan gardish-e-ayyam abhi

khatm hoti hai kahan gardish-e-ayyam abhi
zulm sahna hain bahut se dil-e-nakaam abhi

na-mukammal hai mohabbat mein har ek kaam abhi
dhundhta hai dil-e-mahjur tu anjam abhi

bul-hawas ishq sarasar hai tera kham abhi
dil mein baqi hai tere khwahish-e-aram abhi

ham-safiran-e-chaman rahna khabar-dar zara
aaya gulshan mein hai sayyaad liye dam abhi

khul gai aankh meri khwab se kya zulm hua
meri aaghosh mein tha koi dil-aram abhi

ek do jam se seri nahin hoti saqi
chahte pina hain ji-bhar ke mai-asham abhi

ye saza us ki hai bad-khu se mohabbat kyon ki
jhidkiyan kaisi wo denge mujhe dushnam abhi

mujh ko rahte hue kabe mein zamana guzra
dil mein baqi hai mere ulfat-e-asnam abhi

dekhiye hoti hai tai ishq ki manzil kaise
sakht dushwar hai is rah mein har gam abhi

jurm aisa hi kiya hai ki mohabbat ki hai
dekhiye lagte hain kya kya nae ilzam abhi

kaun sa zikr tha kya baat thi main bhi to sunun
kis gharaz se liya jata tha mera nam abhi

de diya dil unhen ab aage jo taqdir dikhae
kaun jhagde mein pade soch ke anjam abhi

uth pada raat se kambakht sitam dhane ko
ai moazzin hai azan ka kahan hangam abhi

ab to din khatm hua hai dil-e-betab sanbhal
waqt aane ka hai ye kaun sar-e-sham abhi

itni himmat to ho koi ho pilane wala
wo bala-nosh hun pi jaun main sau jam abhi

wo bhi din dur nahin hain jo salamat aghyar
galiyan denge wo le le ke mera nam abhi

chahte wo hain ki izhaar ta'alluq ka na ho
khat bhi aaya hai kabhi un ka to gumnam abhi

der se pite hain aghyar barabar saqi
samne mere nahin aaya hai ek jam abhi

ek nazar padte hi jate rahe sab hosh-o-hawas
jalwa-afroz tha ye kaun lab-e-baam abhi

chain se but mujhe kabe mein na rahne denge
dair se roz chale aate hain paigham abhi

kargar wasl ki tadbir na hogi koi
phir bhi karna hai mujhe koshish-e-nakaam abhi

dekhiye jhukta hai dil dair-o-haram mein kis ja
hai mere pesh-e-nazar kufr abhi islam abhi

la sake tab na the tur pe jis ki musa
jalwa dekha hai wahi main ne lab-e-baam abhi

dil-e-gum-gashta ka kuchh zikr na karna hamdam
hasraton mein meri pad jaega kohram abhi

hashr ke shor se ji-bhar ke na sone pae
mil chala tha hamein turbat mein kuchh aaram abhi

jald se jald ilahi shab-e-wada aae
chahta dil hai ye din hi se ki ho sham abhi

kuchh bhi 'ishrat' nahin anjam-e-mohabbat ki khabar
katte hain aah-o-fughan mein sahar-o-sham abhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close