KHafa sayyaad barham baghban malum hota hai

khafa sayyaad barham baghban malum hota hai
bahut jald ab to chhutte gulistan malum hota hai

sharik-e-ranj-o-gham dard-e-nihan malum hota hai
mohabbat mein yahi rahat-rasan malum hota hai

koi mehr-o-wafa ka nam tak bhi ab nahin leta
ajab badla hua rang-e-jahan malum hota hai

maze mein umr katti hai koi shar hai na fitna hai
hamein to mai-kada dar-ul-aman malum hota hai

tamanna hasrat-o-arman jaise ho gae rukhsat
dil-e-nakaam ek viran makan malum hota hai

kaleja khinch ke aa jaega ek din dekhna bahar
yahi anjam-e-fariyaad-o-fughan malum hota hai

samajh mein kuchh nahin aata hai kya mafhum hai is ka
muamma ek qasid ka bayan malum hota hai

muhayya kaise kaise aish ke ishrat ke saman hain
ye mai-khana to ab jannat-nishan malum hota hai

kahan ka wasta rasm-e-mohabbat dosti kaisi
hamara zikr tak un ko giran malum hota hai

tumhaari hazrat-e-waiz dil-azari na jaegi
ye zohd-o-ittiqa sab raegan malum hota hai

asar ulta hi hota hai har ek tadbir-o-darman ka
har ek zarra yahan iza-rasan malum hota hai

qarina to batata hai yahi hai kucha-e-qatil
har ek zarra yahan iza-rasan malum hota hai

mohabbat mein hazaron marhale dushwar jhele hain
hamein ek khel jaur-e-asman malum hota hai

hui hai kya inayat barq ki mere nasheman par
chaman se aaj kuchh uthta dhuan malum hota hai

kabhi bhule se ab dil mein tasawwur tak nahin aata
khayal un ka bhi mujh se bad-guman malum hota hai

asiri mein chaman ki yaad se taskin hoti hai
tasawwur mein qafas bhi gulsitan malum hota hai

sahe ranj-o-alam itne tabiat ho gai khugar
hamein ab gham nishat-e-jawedan malum hota hai

pata to aur kuchh milta nahin hai dil ka pahlu mein
magar han ek dhundla sa nishan malum hota hai

khayal-e-kham hai ai dil natija kuchh na niklega
visal-e-yar ek wahm-o-guman malum hota hai

khuda hi laj rakkhe aabru rah jae ulfat mein
bahut hi sakht hum ko imtihan malum hota hai

gham-e-jaanan ne aa kar dil pe qabza kar liya apna
bahut hi be-takalluf mehman malum hota hai

khuda jaane jawab-e-khat mein kya likh kar ke aaya hai
ba-zahir nama-bar to shadman malum hota hai

tariq-e-ishq mein sab diqqaten dil ki badaulat hain
yahi is rah mein sang-e-giran malum hota hai

ye sabr-o-zabt ye himmat dil-e-mahjur kya kahna
musibat mein bhi har dam shadman malum hota hai

bharosa kis pe ho 'ishrat' shikayat hum karen kis ki
hamein dil bhi sharik-e-dushmanan malum hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close