khatm kar deti hai khud hi fasla mere liye us ki khushbu le ke aati hai hawa mere liye main ne jis jis ka dukhaya dil wo sab jate rahe ab nadamat lafz ka matlab bhi kya mere liye koi ab bhi dil ke mandir mein jalata hai diye koi to karta hai ab bhi ratjaga mere liye hath ke chhaalon ne kar li aaj phir se khud-kushi mere bachchon ne kaha jab kya kiya mere liye apni ulfat ke hazaron rang bhar dunga janab jab koi taswir bhejega khuda mere liye kis liye duniya mein rahne aa gae jannat se hum koi to ban jae ab uqda-kusha mere liye azm-e-mohkam dekh kar is zindagi ki rah mein manzilen khud tai karengi rasta mere liye main ne chhodi hi nahin ab tak amal ki rassiyan jo bhi hai achchha hai sab us ka likha mere liye