lakhnau shahr mein sab kuchh hai dil-awez yahan fikr 'harshit' ki hui aur bhi zarkhez yahan un ki takmil na ho pai alag baat magar kis ki aankhen na huin khwab se labrez yahan us ne takhliq-e-sukhan ke liye bakhsha hai qalam hum bhi karte nahin tanqid se parhez yahan sher kahna bhi to mushkil hai tere hijr ke baad pen kahin baks kahin lamp kahin mez yahan wahshaten nach rahi hain yahan chaaron jaanib shahr ka shahr hi lagta hai junun-khez yahan hum se sambhlenge nahin aap ki tarif ke pul aur chalti hain hawaen bhi bahut tez yahan