khatm raaton-raat us gul ki kahani ho gai rang bosida hue khushbu purani ho gai jis se raushan tha muqaddar wo sitara kho gaya zulmaton ki nazr aakhir zindagani ho gai kal ujalon ke nagar mein hadsa aisa hua chadhte suraj par diye ki hukmarani ho gai rah gai thi lal banne mein kami ek aanch ki aankh se gir kar lahu ki bund pani ho gai chilla-e-jaan par chadha kar aakhiri sanson ke tir maut ki sarhad mein dakhil zindagani ho gai khauf ab aata nahin hai sipiyan chunte hue dosti apni samundar se purani ho gai kis jagah aaya hai tu aaankhon ke nilam bhul kar gham kahan iqbaal-'sajid' ki nishani ho gai