kya ranj ki yusuf ka kharidar nahin hai ye shahr koi misr ka bazar nahin hai kyun meri giraftari pe hangama hai har su wo kaun hai jo tera giraftar nahin hai kis kis pe inayat na hui teri nazar ki bas ek meri samt guhar-bar nahin hai kyun jurat-e-izhaar pe hairan ho meri abru hain tumhaare koi talwar nahin hai saya hai mere sar pe 'qamar' dhup shajar ka baitha hun jahan saya-e-diwar nahin hai