khauf dil mein zara nahin karte zindagi se wafa nahin karte zindagi ka hisab dena hai kyon ibaadat kiya nahin karte sun hi lega khuda-e-izz-o-jal kyon tadap kar dua nahin karte aazmaish hui hai har saat zikr-e-rab kyon kiya nahin karte sun li ya dekh li khata jis ki tazkira ja-ba-ja nahin karte kyon kisi ki khata pe hanste ho kya kabhi tum khata nahin karte dusron ki hai nukta-chini 'sharar' farz apna ada nahin karte