khauf-e-jaan aas-pas rahta hai dil yun hi kab udas rahta hai dekh kar ab lahu ki arzani har koi bad-hawas rahta hai sare insan bichhad gae to kya mera gham mere pas rahta hai jab se dil ko diye hain us ne zakhm karb-o-gham aas-pas rahta hai aadmi ja basega suraj par aisa bhi kya qayas rahta hai khauf-e-dariya use nahin hota jo samundar-shanas rahta hai