bakhshe na gae ek ko bakhsha na kabhi raste pe magar aai ye duniya na kabhi lachaar khud apna hi qasida likkha qabil koi mizan pe utra na kabhi gardan bhi reaya ki jhukae rakkhi uthne diya ehsan ka palda na kabhi bharte hi rahe sud mein ek ek dhadkan mansukh kiya dard ka sauda na kabhi ab kis ko pata baam pe chehra tha ki chand koi sar uthae hue guzra na kabhi banu-e-saba khak-nashin par bhi nigah nachiz pe karna pade takiya na kabhi parchhaiyon ki jang thi khun ka dariya ham-zad rajaz-khwan hua aisa na kabhi phenk aao khalaon mein shikasta kashkol is burj mein thahrega sitara na kabhi jab saya bhi shishe ki tarah tut gaya diwar ne dekha ye tamasha na kabhi