khauf-o-wahshat bar-sar-e-bazar rakh jata hai kaun yun rag-e-ehsas par talwar rakh jata hai kaun kyun wo milne se gurezan is qadar hone lage mere un ke darmiyan diwar rakh jata hai kaun mimbar-o-mehrab se aatish-fishan hote to hain waqt ki dahliz par dastar rakh jata hai kaun bas khuda ghafil nahin hai warna is manjdhaar mein meri kashti ke liye patwar rakh jata hai kaun ye mera zauq-e-safar hai warna aisi dhup mein har qadam par ek shajar chhitnar rakh jata hai kaun dil badi nazuk si shai hai un se itna puchhiye tute shishon ka yahan ambar rakh jata hai kaun tirgi apna muqaddar likh chuki phir bhi 'tapish' aaine mein ek ghalat pindar rakh jata hai kaun