fareb-e-zar mohabbat-nagar khula hua hai tumhaare khwab ka mujh pe asar khula hua hai main ud raha hun falak ta falak khumar mein yun ki mujh pe ek jahan-e-digar khula hua hai ajib sada-dili hai meri tabiat mein chala safar pe hun rakht-e-safar khula hua hai main jaanta hun ki kya hai ye aagahi ka azab jo harf harf meri zat par khula hua hai kahan khuli hain abhi us ki hairaten mujh par jo ek jahan wara-e-nazar khula hua hai ek intizar mein qaem hai is charagh ki lau ek ehtimam mein kamre ka dar khula hua hai