khayal dauda nigah utthi qalam ne likkha zaban boli magar wahi dil ki uljhanen hain kisi ne is ki girah na kholi latafaton ke nazakaton ke 'ajib mazmun hain chaman mein saba ne jhatka hai apna daman masak gai hai kali ki choli khayal sha'ir ka hai nirala ye kah gaya ek kahne wala shabab ke sath yun hai rindi ki jaise phagun ke sath holi kaho ye rindan-e-asia se ki bazm-e-ishrat ke thath badle udan-khatola hai ab mison ka gai parijaan ki wo doli