khub ek naseh-e-mushfiq ne ye irshad kiya bazm mein us ne ta'alli jo kal akbar ki suni na teri fauj na shagird na pairau na murid na tu arjun hai na suqraat rishi hai na muni kis nagin par hain tere naqsh ke aasar ‘ayan note-book teri shikasta teri pencil hai ghuni fikr se zikr se 'ibrat se tujhe kaam nahin wah-wa ke liye lafzon ki dukan tu ne chuni tab' mein teri wahi khami-e-hirs-e-duniya aatish-e-khauf-e-khuda se na jali hai na bhuni khud-parasti hai bahut khalq ki khidmat kam hai dil-dahi kam hai to hai dil-shikani chaar guni