khayal-e-dost na main yaad-e-yar mein gum hun khud apni fikr-o-nazar ki bahaar mein gum hun khushi se jabr-zada ikhtiyar mein gum hun ajib dilkashi-e-nagawar mein gum hun khud apni yaad-e-faramosh-kar mein gum hun bahana ye hai tere intizar mein gum hun na mohtasib ki khushamad na mai-kade ka tawaf khudi mein mast hun apni bahaar mein gum hun tera jamal bhi dekhunga waqt aane de abhi to apne hi aaina-zar mein gum hun tu hi pukar mera nam le ke ai gham-e-ishq pada hai waqt gham-e-rozgar mein gum hun na sham ki hai khabar aur na subh ki pahchan 'siraj' gardish-e-lail-o-nahaar mein gum hun