nadi ke par ujala dikhai deta hai mujhe ye khwab hamesha dikhai deta hai baras rahi hain aqidat ki badliyan lekin shuur aaj pyasa dikhai deta hai charagh-e-manzil-e-farda jalaega ek roz wo rahgir jo tanha dikhai deta hai teri nigah ne halka sa naqsh chhoda tha magar ye zakhm to gahra dikhai deta hai kisi khayal ki mishal kisi sada ka charagh har ek samt andhera dikhai deta hai 'amir' puchh raha hun gham-e-zamana se hamare ghar mein tujhe kya dikhai deta hai