khayal-e-gardish-e-sham-o-sahar mein rahta hun main ghar mein rahte hue bhi safar mein rahta hun main apne jism pe tanqid kar nahin sakta magar ye sach hai ki mitti ke ghar mein rahta hun mujhe qayam kahan ab mujhe talash na kar hai mera nam musafir safar mein rahta hun main ek dard sahi phir bhi mit nahin sakta sabab ye hai ki dil-e-chaara-gar mein rahta hun mujhi se mange hai sailab rasta 'saulat' ye jaanta hai ki mitti ke ghar mein rahta hun