sitara tut ke bikhra aur ek jahan khula ajib rukh se andhere mein aasman khula tulu-e-subh se pahle main chhod jaunga siyah raat ke pahlu mein ek makan khula phir is ke baad koi rah wapsi ki na thi hawa ke dosh pe is tarah baadban khula main jis ko dhund raha tha udas raaton mein sitara ban ke wo palkon ke darmiyan khula na jaane kaun mere khwab le gaya mujh se ki umr bhar na kabhi phir ye saeban khula kabhi jo hath uthae 'rawish' dua ke liye labon ke sath samaat ka bhi guman khula