khayal-e-hijr mein ab jo bhi saneha hoga wahi to phir se naya ek silsila hoga kise khabar thi ki is raushni ki chadar mein hamara ishq mein phulon se rabta hoga amir-e-shahr ko paigham mil bhi jae to gharib-e-shahr ka koi na aasra hoga nae ufuq se gurezan na ho mere hamdam purani soch se ab ye na faisla hoga khuda ka shukr duaen jo rang lai hain likhungi lafz main jo bhi wo barmala hoga sunenge log ye jab bhi meri kahani ko hisar-e-zat ke qaidi ka majra hoga ajib haal hai andar ki khalfashaari ka kise khabar thi ki aisa ye hadisa hoga