khayal-e-yar ka jalwa yahan bhi tha wahan bhi tha zamin par panw the mere nazar mein aasman bhi tha diye raushan the har jaanib andhera tha magar dil mein bahut tanha tha main lekin sharik-e-karwan bhi tha chune tinke bahut main ne banaya aashiyan apna azal se ek musafir hun mujhe is ka guman bhi tha udhar jaana bhi tha lazim idhar majbur thi sohni ghada kachcha tha hathon mein udhar dariya jawan bhi tha sabhi shamil the yaro yun to gulshan ki tabahi mein ab itna saf kya kahiye ki un mein baghban bhi tha mere har zakhm par ek dastan thi us ke zulmon ki mere khun-bar dil par us ke hathon ka nishan bhi tha mukarta tha wo apne tir se to ek taraf 'azim' udhar thame hue ek hath mein zalim kaman bhi tha