KHayal is baat ka dil se mere aksar nahin jata

khayal is baat ka dil se mere aksar nahin jata
main ghar jaane ki jaldi mein umuman ghar nahin jata

mujhe ek masala darpesh hai ki hath to mere
tere panw talak jate hain lekin sar nahin jata

kisi ki baddua hai ya mere panw nahin mere
jahan jaana zaruri ho wahan aksar nahin jata

wo mere sath chalta hai ki main tanha na ho jaun
magar ek fasla rakh kar jahan patthar nahin jata

ghalat-fahmi mein mat rahna ta'alluq tut jae to
ta'alluq mar deta hai ta'alluq mar nahin jata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close