khayal-o-khwab hui hain mohabbaten kaisi lahu mein nach rahi hain ye wahshaten kaisi na shab ko chand hi achchha na din ko mehr achchha ye hum pe bit rahi hain qayamaten kaisi wo sath tha to khuda bhi tha mehrban kya kya bichhad gaya to hui hain adawaten kaisi azab jin ka tabassum sawab jin ki nigah khinchi hui hain pas-e-jaan ye suraten kaisi hawa ke dosh pe rakkhe hue charagh hain hum jo bujh gae to hawa se shikayaten kaisi jo be-khabar koi guzra to ye sada de di main sang-e-rah hun mujh par inayaten kaisi nahin ki husn hi nairangiyon mein taq nahin junun bhi khel raha hai siyasaten kaisi na sahban-e-junun hain na ahl-e-kashf-o-kamal hamare ahd mein aain kasafaten kaisi jo abr hai wahi ab sang-o-khisht lata hai faza ye ho to dilon mein nazakaten kaisi ye daur-e-be-hunaran hai bacha rakho khud ko yahan sadaqaten kaisi karamaten kaisi