kamal-e-admi ki intiha hai wo aainda mein bhi sab se bada hai koi raftar hogi raushni ki magar wo us se bhi aage gaya hai jahan baithe sada-e-ghaib aai ye saya bhi usi diwar ka hai mujassam ho gae sab khwab mere mujhe mera khazana mil gaya hai haqiqat ek hai lazzat mein lekin hikayat silsila-dar-silsila hai yunhi hairan nahin hain aankh wale kahin ek aaina rakkha hua hai visal-e-yar se pahle mohabbat khud apni zat ka ek rasta hai salamat aaine mein ek chehra shikasta ho to kitna dekhta hai