khayal-o-khwab ka sara dhuan utar chuka hai yaqin ke taq mein suraj koi thahar chuka hai mujhe utha ke samundar mein phenkne walo ye dekho ek jazira yahan ubhar chuka hai main ek naqsh, jo ab tak na ho saka pura wo ek rang, jo taswir-e-jaan mein bhar chuka hai ye koi aur hi hai mujh mein jo jhalakta hai tumhein talash hai jis ki wo kab ka mar chuka hai tere jawab ki ummid jaan se bandhe hue mera sawal hawa mein kahin bikhar chuka hai na tar-tar hai daman, na hai gareban chaak ajib shakl junun ikhtiyar kar chuka hai musafiron se kaho apni pyas bandh rakhen safar ki ruh mein sahra koi utar chuka hai wo jab ki tujh se umiden thin meri duniya ko wo waqt bit chuka hai wo gham guzar chuka hai 'nabil' aisa karo tum bhi bhul jao use wo shakhs apni har ek baat se mukar chuka hai