kuchh der to duniya mere pahlu mein khadi thi phir tir bani aur kaleje mein gadi thi aaankhon ki fasilon se lahu phut raha tha khwabon ke jazire mein koi lash padi thi sab rang nikal aae the taswir se bahar taswir wahi jo mere chehre pe judi thi main chand hatheli pe liye jhum raha tha aur tutte taron ki har ek samt jhadi thi alfaz kisi sae mein dam lene lage the aawaz ke sahra mein abhi dhup kadi thi phir main ne use pyar kiya dil mein utara wo shakl jo kamre mein zamane se padi thi har shakhs ke hathon mein tha khud us ka gareban ek aag thi sanson mein aziyyat ki ghadi thi