KHayal-o-KHwab ke paikar badalte rahte hain

khayal-o-khwab ke paikar badalte rahte hain
hum apni aag mein har-dam pighalte rahte hain

hamein hai naz ki hum hain pahad ki manind
hamari aankhon se chashme ubalte rahte hain

tumhaare waste ye chiz hai nai warna
yahan pe sanp to aksar nikalte rahte hain

bulandiyon mein jo udte hain un ko kya malum
ghane banon ki hain hum aag jalte rahte hain

tum apne jism ke malbus ko bachae rakho
ghaliz pani hain hum to uchhalte rahte hain

hamare sath kahan tak chaloge zid na karo
ki raston ki tarah hum to chalte rahte hain

badalti rut ki tarah un ke pyar mein hum bhi
khud apni shakl ko har-dam badalte rahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close