mujhe hayat ke sanchon mein dhaalne wale kahan gae wo samundar khangalne wale ludhak raha hun dhalanon se pyar ki main to na aaen rah mein mujh ko sanbhaalne wale hamare shauq-e-farawan ne das liya hum ko ki aastin mein the hum sanp palne wale hawa mein phenk na mujh ko samajh ke khel koi tujhi ko aa ke lagunga uchhaalne wale zara sa kaam hun main phir bhi na-mukammal hun yahan mile hain sabhi mujh ko talne wale kuan hawas ka tha gahra kuchh is qadar 'akhtar' ki khud hi gir gae mujh ko nikalne wale